Friday 27 April 2012

Zaman Ki Majboori

    Image courtesy of Tony Frissell


Zaman Ki Majburi  

By 

Saqib Mahmood 



ye kooche ye neelaam ghar dil_kashi ke
ye lut_te hue kaarawaaN zindagii ke
kahaan hain, kahaan hain muhaafiz Khudi ke?

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaanhain?

ye pur-pech galiyaan, ye be-Khwaab baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkon ki jhankaar
ye ismat ke saude, ye saudon pe takaraar

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

ta’affun se pur neem-roshan ye galiyaan
ye maslee hui adh-khilee zard kaliyaan
ye bikati hui khokalii rang-raliyaan

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

vo ujale dareechon mein paayal ki chhan-chhan
tanaffus ki uljhan pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN mein khaansii kii Dhan-Dhan

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

ye guunje hue qah-qahe raaston par
ye chaaroN taraf bheer si khirkiyon par
ye aawaazeN khinchate hue aanchalon par

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

ye phuuloN ke gajare, ye peekon ke chheente
ye be-baak nazren, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye madqooq chehare

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

ye bhuukii nigaahen haseenon ki jaanib
ye baRate hue haath seenon ki jaanib
lapakate hue paanv zeenon ki jaanib

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

yahaan peer bhii aa chuke hain jawaan bhi
tanuumand bete bhi, abbaa miyaan bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maan bhi

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

madad chaahti hai ye hawwaa ki beti
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beti
payaMbar ki ummat zulaikhaa ki beti

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

zaraa mulk ke raahbaron ko bulaao
ye kuuche ye galiyaan ye manzar dikhaao
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq ko laao
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaan hain?

    Image courtesy of XMK360 


Dr. Saqib Mahmood is a seasoned entrepreneur whose previous experience includes work at Nokia Siemens Networks and Telenor. He now spearheads the Safaa Group of Companies. Saqib is a key Renaissance change catalyst for our cause, is conducting Thesis level advanced research on Supply Chain Management at SZABIST, remains an avid poet, social change advocate, adventurer and cultural explorer. He educates the destitute of Pakistan totally children free of charge This poem is dedicated to women`s empowerment and is a special ode to all struggling women, everywhere.        






1 comment:

  1. i believe that silence itself speaks out very loud

    ReplyDelete